Friday, 25 January 2013

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai...Mir Taqi Mir.

"Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai."


"Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai."


"Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai."


"Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai."


"Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai."


"Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai."


"Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai."

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,Jaan ka rog hai, bala hai ishq...Mir Taqi Mir

"Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq."


"Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq."


"Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq."


"Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq."


"Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq."


"Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq."


"Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?"

Faqiraana aae sadaa kar chale,Miyaan khush raho ham dua kar chale

"Faqiraana aae sadaa kar chale,
Miyaan khush raho ham dua kar chale."

"Jo tujh bin na jeene ko kahte the ham, 
So is ahd ko ab wafa kar chale."

"Koi naumidana karte nigah,
So tum ham se munh bhi chhipa kar chale."

"Bahut aarzoo thi gali ki teri, 
So yaan se lahu mein naha kar chale."

"Dikhai diye yun ke bekhud kiya, 
Hamen aap se bhi juda kar chale."

"Jabin sijda karte hi karte gayi, 
Haq-e-bandgi ham ada kar chale."

"Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale."

"Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale."

"Kahen kya jo puchhe koi ham se Mir,
Jahaan mein tum ae the kya ka chale." 

Ibtadaae ishq hai rota hai kya, Aage aage dekhiye hota hai kya...Mir Taqi Mir

"Ibtadaae ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya."
"Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil ham chale sota hai kya."
"Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya."
"Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya."
"Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigaan khota hai kya. "

Wednesday, 23 January 2013

Wo bewafa na tha youn badnam...Ahmad Faraz.

Wo be wafa na tha youn hi badnam ho gaya
"Faraz"
Hazaron chahne wale the kis kis se wafa karta...

Tera na ho saka to...Ahmad Faraz.

Tera na ho saka to mar jaon ga 
"Faraz"
Kitna khobsurat wo jhoot bolta tha...

Hum na badlien gay waqt ki raftar...Ahmad Faraz.

Hum na badlien gay waqt ki raftaar kay sath
                            "Faraz"
Hum jab bhi milen gay andaz purana hoga...

Kis ki kiya majal thi jo koi hum ko...Ahmad Faraz.

Kis ki kiya majal thi jo koi hum ko khareed sakta
                        "Faraz"
Hum to khud hi bik gaye kharidar dekh kay...

Kon deta hai umar bhar ka sahara...Ahmad Faraz.

Kon deta hai umar bhar ka sahara aay
                           "Faraz"
Log tu janazay main bhi kandhay bhi badalte rahtay hain...

Yeh wafa to un dinon ki baat hay...Ahmad Faraz.

Yeh wafa to un dinon ki baat hay
                         "Faraz"
Jab makaan kachy or log sachay hoa kartay the...

Kuch muhabat ka nasha...Ahmad Faraz.

Kuch muhabat ka nasha tha pehle hum ko 
                      "FARAZ"
Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai.

Tuesday, 22 January 2013

Jane q itni si bat pe...Ahmad Faraz.


Bikhar rahe hain meri zindagi kay tamam watak.... Ahmad Faraz.


Aseeb zada ghar ka ...... Ahmad Faraz.

Aseeb zada ghar ka mien wo darwaza hon Faraaz
Demak ki tarah kha gayi jise dastak ki tamana.....

Ibn-e-mariyam hua kare koi.....Mirza Ghalib.


Ibn-e-mariyam hua kare koi
mere dukh ke dawa kare koi
shura-o-ain par madar sahi
aise qatil ka kya kare koi
chal jaise kadi kaman ka tir
dil mein aise ke ja kare koi
baat par van zuban katati hai
wo kahen aur suna kare koi
bak raha hun junun mein kya kya kuch
kuch na samajhe khuda kare koi
na suno gar bura kahe koi
na kaho gar bura kare koi
rok lo gar galat chale koi
bakhsh do gar khata kare koi
kon hai jo nahi hai hajatamand
kisaki hajat rava kare koi
kya kiya khijr ne sikandar se
ab kise rahanuma kare koi
jab tavaqqo hi uth gayi “ghalib”
kyon kisi ka gila kare koi

Saza yeh di ankhon say......


Na tha kuch to khuda tha... Mirza Ghalib.


Sunday, 20 January 2013

Follow Us on FaceBook

Apne Siwa Batao Kabhi Kuch...

Apne Siwa Batao Kabhi Kuch Mila Bhi Hai Tumhain …
Hazaar Baar Lee Hyn Tum Ne Mere Dil Ki Talashiya”n …

Ghame-e-Hayat ka jhagra...Ahmad FaraZ.

Mere marne par sab khush hon ge...Ahmad Faraz.

Juz tere koi bhi din raat na janay mere...Ahmad Faraz.

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere

Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-
               “Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere

Ab ke rut badli to khushbu ka safar dekhay ga kon?...Ahmad Faraz.

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai
                  “Faraz”

Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?

Aisa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili...Ahmad Faraz.

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili

Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi
                        “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili
...

Faraz ab koi soda koi junon...Ahmad Faraz

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaan Na Ho
Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain

Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay
Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi

Wafa ke baab mien ilzam-e-ashiqui na lia...Ahmad Faraz.


Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia

Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz”
Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

Us se milne ko jo hum kabhi machal jate hain...Ahmad Faraz.

Phire ga to bhi yunhi hamari tarah...Ahmad Faraz.

TERI baatain hi sunaany aay... AHMAD FARAZ

...AHMAD  FARAZ.........      
*TERI baatain hi sunaany aay, 
*DOST bhi dill hi dukhaany aay,                 
*PHOOL khiltay hain to hum sochtay hain,            

    *TAYRY aany k zamany aay,
*AYSI kuch chup si lagi hy jaysy ,          
   *HUM unhain hall sunany aay,          
       *AB to rony sy bhi dill dukhta hy,       

*SHAYID ab hosh thikaany aay,               
  *KAYA kaheen phir koi busti ujri ,  
*LOG Q Jashan manany aay ,  

*SO raho maut k pehlu mein                                  
             "FARAZ",              
*NEEND kis wakt na jaany aay.......*.....           

Saturday, 19 January 2013

Tapak parte hain anson jab...Ahmad Faraz


Kion tabiet kahien teherti nai....Ahmad Faraz


Tere qareeb akay bari uljhanon mien hon....Ahmad Faraz


Nazam thi dulhan teri...Ahmad Faraz


Nasir Kazmi

Neeyat-e-shoq bhar na jay kaheen,

To bhi dil se utar na jaye kaheen,

Aaj dekha hai tujh ko dyr kay bad,

Aaj ka din guzar na jaye kaheen,

Na mila kar udas logon se,

Husan tera bikhar na jaye kahen,

Arzu hai k to yahan aye,

Or umar bhar na jaye kaheen,

Jee jalta hn or sochta hon,

Raaygan ye hunar na jaye kaheen,

Ao kuch dair ro hi lain Nasir,

Ye darya utar na jayd kaheen.

Friday, 18 January 2013

Hamari dosti...

Hamari dosti bhi bohat asr rakhti hai 
                     FARAZ
Yad ayenge bohat zara bhool to...

Milna itifaq tha nasseb tha...

Milna itfaq tha Bicharna naseeb tha wo itna door hua,
Jitna qareeb tha us ko dekhne kay liye tarasty gayien meri ankhien
Jis shaks ki hatheli per mera naseeb tha...

Humien bhi sarbulandi...

Humien bhi sar bulandi ki tamana tang karti hai
lekin hum dosron ko raundh kay uncha nai urtey...


Shaheen Gujjarani