Friday, 25 January 2013

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai...Mir Taqi Mir.

"Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai."


"Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai."


"Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai."


"Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai."


"Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai."


"Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai."


"Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai."

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,Jaan ka rog hai, bala hai ishq...Mir Taqi Mir

"Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq."


"Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq."


"Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq."


"Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq."


"Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq."


"Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq."


"Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?"

Faqiraana aae sadaa kar chale,Miyaan khush raho ham dua kar chale

"Faqiraana aae sadaa kar chale,
Miyaan khush raho ham dua kar chale."

"Jo tujh bin na jeene ko kahte the ham, 
So is ahd ko ab wafa kar chale."

"Koi naumidana karte nigah,
So tum ham se munh bhi chhipa kar chale."

"Bahut aarzoo thi gali ki teri, 
So yaan se lahu mein naha kar chale."

"Dikhai diye yun ke bekhud kiya, 
Hamen aap se bhi juda kar chale."

"Jabin sijda karte hi karte gayi, 
Haq-e-bandgi ham ada kar chale."

"Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale."

"Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale."

"Kahen kya jo puchhe koi ham se Mir,
Jahaan mein tum ae the kya ka chale." 

Ibtadaae ishq hai rota hai kya, Aage aage dekhiye hota hai kya...Mir Taqi Mir

"Ibtadaae ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya."
"Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil ham chale sota hai kya."
"Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya."
"Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya."
"Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigaan khota hai kya. "

Wednesday, 23 January 2013

Wo bewafa na tha youn badnam...Ahmad Faraz.

Wo be wafa na tha youn hi badnam ho gaya
"Faraz"
Hazaron chahne wale the kis kis se wafa karta...

Tera na ho saka to...Ahmad Faraz.

Tera na ho saka to mar jaon ga 
"Faraz"
Kitna khobsurat wo jhoot bolta tha...

Hum na badlien gay waqt ki raftar...Ahmad Faraz.

Hum na badlien gay waqt ki raftaar kay sath
                            "Faraz"
Hum jab bhi milen gay andaz purana hoga...